mujrim-e-ishq talabgār-e-muāfī to nahīñ
sirf ġham chāhtā hai ġham kī talāfī to nahīñ
soch le ye bhī har ummīd se pahle ai dil
ye sahārā tirī ġhairat ke munāfī to nahīñ
rone vaale ye nadāmat bhī ġhanīmat hai magar
sirf do ashk gunāhoñ kī talāfī to nahīñ
zarf-e-mai-kash pe nazar chāhiye saaqī tujh ko
ek do jaam ġhanīmat sahī kaafī to nahīñ
abhī ilzām-e-taġhāful na de un ko ai dil
shām-e-va.ada sahar-e-va.ada-ḳhilāfī to nahīñ