safar se pahle sarāboñ kā silsila rakh aa.e
har ek moḌ pe āshob ik nayā rakh aa.e
kahāñ bhaTaktī phiregī añdherī galiyoñ meñ
ham ik charāġh sar-e-kūcha-e-havā rakh aa.e
tamām umr safar se ġharaz rahī ham ko
har iḳhtitām pe ham ek ibtidā rakh aa.e
bhaTak na jaa.e musāfir koī hamāre ba.ad
so rāh-e-shauq meñ ham apne naqsh-e-pā rakh aa.e
ye be-samā.at o be-chehra basārat log
ye pattharoñ meñ kahāñ aap ā.īna rakh aa.e