kabhī kisī ko na ahd-e-vafā kā paas huā
sahar kā ḳhvāb añdheroñ se rū-shanās huā
vo ek lafz jo mahdūd-e-ḳhalvat-kun thā
vo lafz phailā to mansūr-e-ḳhud-shanās huā
hamāre ba.ad bhī lākhoñ the Dūbne vaale
ab is ko kyā kareñ dariyā hī nā-sipās huā
karam kisī kā had-e-e'tidāl se baḌh kar
hamāre jazba-e-ḳhud-dār kī asaas huā
talab meñ ham-safarī kī lagan kahāñ phir bhī
pukār leñge agar koī aas paas huā
udhar thā lafz-e-vafā jaise hukm-e-shāhāna
mirī zabān pe aayā to iltimās huā
tavaqquāt ke jaadū kā zor to TuuTā
shikast aaj tilism-e-umīd-o-yās huā
marāhil-e-ġham-e-hastī kī uljhaneñ tauba
kahīñ vafā kā kahīñ zindagī kā paas huā
vo ḳhāmushī thī jo tahsīn-e-nā-shanās huī
vo shor thā jo sukūt-e-suḳhan-shanās huā