Mukhtar Hashmi

sahib-e-taj-e-basirat hun main diwana sahi

Mukhtar Hashmi

sāhib-e-tāj-e-basīrat huuñ maiñ dīvāna sahī
fikr shāhāna hai andāz faqīrāna sahī
zikr-e-ka.aba na sahī qissa-e-but-ḳhāna sahī
husn-e-tafhīm salāmat koī afsāna sahī
mun.akis zehn-o-nazar meñ haiñ ḳhad-o-ḳhāl tire
tujh ko samjhā to bahut hai tujhe dekhā na sahī
sajda pāband-e-ta.ayyun to nahīñ dīvāne
hai agar bāb-e-haram band to but-ḳhāna sahī
hūr-o-kausar ke tasavvur se kahāñ tak bahleñ
nār-e-imroz hī de jannat-e-fardā na sahī
nigah-e-dil ke ravābit se ham-āhañg to hai
merī duniyā tirī duniyā se judāgāna sahī
munfarid phir bhī hai ai husn haqīqat us kī
zindagī ishq kī unvān-e-sad-afsāna sahī
Top Urdushayar.com