ḳhud-pasandāna taqāzoñ par agar jā.egī
ziist apnī hī nigāhoñ se utar jā.egī
ham ne maanā yahīñ khīñch aa.egī manzil lekin
ai junūñ izzat-e-arbāb-e-safar jā.egī
aap taklīf-e-tavajjoh na kareñ bahr-e-ḳhudā
zindagī jaise bhī guzregī guzar jā.egī
log kyā samjheñge pahnā.ī-e-dāmān-e-junūñ
jab bhī jā.egī garebāñ pe nazar jā.egī
ham to bad-nām-e-vafā hoñge to hoñge lekin
aabrū terī bhī ai dīda-e-tar jā.egī