Mukhtar Hashmi

KHayal-e-marg baDi shai hai zindagi ke liye

Mukhtar Hashmi

ḳhayāl-e-marg baḌī shai hai zindagī ke liye
añdherā jaise zarūrī hai raushnī ke liye
sukūñ kī bhiik na māñgeñge chashm-e-lutf se ham
gadā baneñge na do din kī zindagī ke liye
junūñ ne rāz-e-haqīqat to pā liyā lekin
ḳhudā ko kho diyā zauq-e-ḳhud-āgahī ke liye
bajā ki rāh-numā rāhzan nahīñ lekin
musāfir ab bhī taraste haiñ rah-ravī ke liye
jo terī chashm-e-tavajjoh pe ho gayā qurbāñ
vo ġham bhī kitnā zarūrī thā zindagī ke liye
ye dil ġhamoñ se hai ma.amūr ai ḳhayāl-e-nashāt
kahāñ se ā.eñgī gunjā.isheñ ḳhushī ke liye
saheñge ġham ke liye jabr-e-zindagī lekin
nazar na ġham se bachā.eñge zindagī ke liye
ḳhulūs-e-dil ke tajassus meñ kho.e ham 'muḳhtār'
nazar paḌī bhī to dushman pe dostī ke liye
Top Urdushayar.com