Mukhtar Hashmi

gurezan rang-o-bu se dil nahin hai

Mukhtar Hashmi

gurezāñ rañg-o-bū se dil nahīñ hai
abhī shāyad junūñ kāmil nahīñ hai
nigāheñ apne markaz par haiñ lekin
jahāñ dil thā vahāñ ab dil nahīñ hai
sarishk ġham meñ naġhme ho chuke zam
magar ḳhāmosh sāz-e-dil nahīñ hai
abhī baaqī hai imkān-e-talātum
abhī kashtī lab-e-sāhil nahīñ hai
phir us se arz-e-ġham 'muḳhtār' kyā ho
jo mere haal se ġhāfil nahīñ hai
Top Urdushayar.com