Divakar Rahi

is shahr-e-nigaran ki kuchh baat nirali hai

Divakar Rahi

is shahr-e-nigārāñ kī kuchh baat nirālī hai
har haath meñ daulat hai har aañkh savālī hai
shāyad ġham-e-daurāñ kā maarā koī aa jaa.e
is vāste sāġhar meñ thoḌī sī bachā lī hai
ham logoñ se ye duniyā badlī na ga.ī lekin
ham ne na.ī duniyā kī buniyād to Daalī hai
us aañkh se tum ḳhud ko kis tarah chhupāoge
jo aañkh pas-e-parda bhī dekhne vaalī hai
jab ġhaur se dekhī hai tasvīr tirī maiñ ne
mahsūs huā jaise ab bolne vaalī hai
duniyā jise kahtī hai be-rāh-ravī 'rāhī'
jiine ke liye ham ne vo raah nikālī hai
Top Urdushayar.com