Aslam Mahmood

har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala

Aslam Mahmood

har rañg-e-tarab mausam o manzar se nikālā
ik rāsta phir sa.ī-e-mukarrar se nikālā
chalne lagī har samt se jab bād-e-ḳhush-āsār
ik aur bhañvar ham ne samundar se nikālā
detī rahī āvāz pe āvāz ye duniyā
sar ham ne na phir ḳhaak kī chādar se nikālā
kam paḌ ga.ī parvāz ko jab vus.at-e-aflāk
ik aur falak apne hī shahpar se nikālā
ham dil se rahe tez havāoñ ke muḳhālif
jab tham gayā tūfāñ to qadam ghar se nikālā
ab kaifiyat o rañg nazar aa.ī jo duniyā
mausam nayā phir apne hī andar se nikālā
āsār nazar aa.e na sairābī-e-dil ke
thak-hār ke saudā-e-numū sar se nikālā
Top Urdushayar.com