kuchh aadmī samāj pe bojhal haiñ aaj bhī
rassī to jal ga.ī hai magar bal haiñ aaj bhī
insāniyat ko qatl kiyā jaa.e is liye
dair o haram kī aaḌ meñ maqtal haiñ aaj bhī
ab bhī vahī hai rasm-o-rivāyat kī bandagī
matlab ye hai ki zehn muqaffal haiñ aaj bhī
bāteñ tumhārī shaiḳh o barhaman ḳhatā-muāf
pahle kī tarah ġhair-mudallal haiñ aaj bhī
'rāhī' har ek samt fasād o inaad ke
chhā.e hue fazāoñ meñ bādal haiñ aaj bhī