hazāroñ baar kah kar bevafā ko bā-vafā maiñ ne
batāyā hai zamāne ko vafā kā rāsta maiñ ne
baḌī izzat se ahl-e-jurm merā naam lete haiñ
gunahgāroñ ko ik din kah diyā thā pārsā maiñ ne
tum apne aap ko kuchh bhī kaho maz.hab ke dīvāno
na dekhā koī tum jaisā ḳhudā-nā-āshnā maiñ ne
jalā kar zulmat-e-bātil meñ haq kī mish.aleñ yaaro
zamāne ko banāyā hai haqīqat-āshnā maiñ ne
ġharaz dair o haram se hai na matlab hai kalīsā se
jahāñ jalva nazar aayā tirā sajda kiyā maiñ ne
bahut hī mo'tabar huuñ kyuuñ ki maiñ raahī huuñ ai 'rāhī'
qasam le lo agar ḳhud ko kahā ho rahnumā maiñ ne