europe jis vahshat se ab bhī sahmā sahmā rahtā hai
ḳhatra hai vo vahshat mere mulk meñ aag lagā.egī
german gass-kadoñ se ab tak ḳhuun kī badbū aatī hai
andhī vatan-parastī ham ko us raste le jā.egī
andhe kueñ meñ jhūTh kī naav tez chalī thī maan liyā
lekin bāhar raushan duniyā tum se sach bulvā.egī
nafrat meñ jo pale-baḌhe haiñ nafrat meñ jo khele haiñ
nafrat dekho aage aage un se kyā karvā.egī
fankāroñ se pūchh rahe ho kyoñ lauTā.e haiñ sammān
pūchho kitne chup baiThe haiñ sharm unheñ kab aa.egī
ye mat khaao vo mat pahno ishq to bilkul karnā mat
desh-droh kī chhāp tumhāre uupar bhī lag jā.egī
ye mat bhūlo aglī nasleñ raushan sho.ala hotī haiñ
aag kuredoge chiñgārī dāman tak to aa.egī