ai mire ġhubār-e-sar tū hī to nahīñ tanhā rā.egāñ to maiñ bhī huuñ
mere har ḳhasāre par mere ye muḳhālif kyā shādmāñ to maiñ bhī huuñ
dasht ye agar apnī vus.atoñ pe nāzāñ hai mujh ko is se kyā lenā
zarra hī sahī lekin merī apnī vus.at hai be-karāñ to maiñ bhī huuñ
dar-ba-dar bhaTaktī hai dasht o shahr o sahrā meñ apnā sar paTaktī hai
ai havā-e-avāra terī hī tarah be-ghar be-amāñ to maiñ bhī huuñ
kuuch kar ga.e jaane kitne qāfile jin kā kuchh nishāñ nahīñ miltā
maiñ bhī huuñ kamar-basta ya.anī rah-rav-e-rāh-e-raftagāñ to maiñ bhī huuñ
tū jo ek sho.ala hai chob-e-ḳhushk huuñ maiñ bhī apnā haal yaksāñ hai
der hai bhaḌakne kī phir to raakh hai tū bhī phir dhuāñ to maiñ bhī huuñ