Ahmad Ata

mere liye tera hona aham ziyaada hai

Ahmad Ata

mire liye tirā honā aham ziyāda hai
ye baaqī zikr-e-vajūd-o-adam ziyāda hai
vo ḳhālī-pan hai kahīñ kuchh kashish nahīñ hai mujhe
koī ḳhushī hai bahut aur na ġham ziyāda hai
tire baġhair zarūrat hī kiyā paḌī hai mujhe
tire baġhair ye dam hai so dam ziyāda hai
ye merī aañkh hai yaañ ḳhvāb kaise Thahreñge
ki sīm-ḳhurda zamīñ hai jo nam ziyāda hai
mirā ye dil ki jise koī pech-o-tāb nahīñ
tirī ye zulf jise pech-o-ḳham ziyāda hai
tū ḳhuub jāntā hai yār-e-be-niyāz ki ab
junūñ bahut hai mujhe phir bhī kam ziyāda hai
Top Urdushayar.com