Ahmad Ata

main teri manta lekin jo mera dil hai na

Ahmad Ata

maiñ tirī māntā lekin jo mirā dil hai

dar patthar hai haTānā ise mushkil hai

ye tirā husn kuchh aisā nahīñ pūjeñ jis ko

lekin ai yaar tire gaal jo til hai

jo mire vāste din raat duā karte haiñ

dushman-e-jāñ ye batā un meñ shāmil hai

māñgnā aatā nahīñ aur ḳhudā kahtā hai

ai farishto ise dekho ye jo saa.il hai

zindagī ishq meñ guzre to qasīda likkhūñ

ki vahī ek qasīda tire qābil hai

Top Urdushayar.com