Ahmad Ata

ye aks aap hi bante hain humse milte hain

Ahmad Ata

ye aks aap hī bante haiñ ham se milte haiñ
ki nāḳhunoñ ke baġhair apne zaḳhm chhilte haiñ
ḳhabar milī hai ki tū ḳhvāb dekhtī hai abhī
ḳhabar milī hai tirī samt phuul khilte haiñ
hameñ ye vaqt kī baḳhiya-garī pasand nahīñ
agarche vaqt ke hāthoñ se zaḳhm silte haiñ
hamārī umr se baḌh kar ye bojh Daalā gayā
so ham baḌoñ se buzurgoñ kī tarah milte haiñ
kisī ko ḳhvāb meñ akasr pukārā jaatā hai
'atā' isī liye sote meñ hoñT hilte haiñ
Top Urdushayar.com