Ahmad Ata

ishq se bhag ke jaya bhi nahin ja sakta

Ahmad Ata

ishq se bhaag ke jaayā bhī nahīñ jā saktā
naqsh-e-yak-ḳhvāb miTāyā bhī nahīñ jā saktā
ham use dekh ke nazreñ bhī haTā sakte nahīñ
aur use dekhne jaayā bhī nahīñ jā saktā
vo kahīñ ḳhvāb meñ poshīda koī ḳhvāb sahī
der tak dard dabāyā bhī nahīñ jā saktā
zer-e-lab haiñ jo sadā.eñ koī suntā hī nahīñ
aur bahut shor machāyā bhī nahīñ jā saktā
dil chhupāyā kisī titlī ke paroñ ke nīche
ye chhupānā to chhupāyā bhī nahīñ jā saktā
raat ne giit sunāyā thā kisī sub.h kā giit
giit aisā kahīñ gaayā bhī nahīñ jā saktā
ik nayā rañg uḌāyā hai in ā.ankhoñ se 'atā'
rañg rañgoñ meñ milāyā bhī nahīñ jā saktā
Top Urdushayar.com