Ahmad Ata

bebasi aisi bhi hoti hai bhala

Ahmad Ata

bebasī aisī bhī hotī hai bhalā
zindagī aisī bhī hotī hai bhalā
raushnī ab mere ashkoñ se hai bas
tīrgī aisī bhī hotī hai bhalā
hañste hañste ho gayā barbād maiñ
ḳhush-dilī aisī bhī hotī hai bhalā
chīḳhtā rahtā huuñ aksar be-sabab
bekasī aisī bhī hotī hai bhalā
jī rahā huuñ maiñ use dekhe baġhair
be-hisī aisī bhī hotī hai bhalā
pūchhte ho aib auroñ se mire
dostī aisī bhī hotī hai bhalā
zindagī aisī hī hotī hai bha.ī
zindagī aisī bhī hotī hai bhalā
rañg hī chehre pe lahrāte haiñ ab
jāñ-kanī aisī bhī hotī hai bhalā
haiñ lahū kī būñdeñ ab merī sipāh
sar-kashī aisī bhī hotī hai bhalā
ek hī sūrat yahāñ chāroñ taraf
raushnī aisī bhī hotī hai bhalā
gaal jhulse jā rahe haiñ kyuuñ mire
chāñdnī aisī bhī hotī hai bhalā
Top Urdushayar.com