maiñ na hone se huā ya.anī baḌī taqsīr kī
kīmiyā-gar ne mirī miTī magar iksīr kī
un dinoñ aayā thā tū jab hausla darkār thā
ḳhair ho terī ki tū ne tīrgī tanvīr kī
aur sochā aur sochā aur sochā aur phir
us ḳhudā-e-lam-yazal ne aur hī taqdīr kī
āshiqāñ suniye ba-gosh-e-hosh merī dāstāñ
dāstāñ kuchh bhī nahīñ yāroñ ne bas tash.hīr kī
maiñ to miTTī ho rahā thā ishq meñ lekin 'atā'
aa ga.ī mujh meñ kahīñ se be-dimāġhī 'mīr' kī