hameñ na dekhiye ham ġham ke maare jaise haiñ
ki ham to vaise haiñ us ke ishāre jaise haiñ
ye vasl, vasl kī mad meñ ġhalat shumār kiyā
ki us ke saath bhī yūñhī kināre jaise haiñ
tilism-e-chashm salāmat rahe ki jis ke sabab
kahīñ haiñ phuul kahīñ ham sitāre jaise haiñ
vo jāntā hai jabhī duur bhāgtā hai bahut
vo jāntā hai ham us ko ḳhasāre jaise haiñ
ham aaj hañste hue kuchh alag dikhā.ī diye
ba-vaqt-e-girya ham aise the, saare jaise haiñ
use kaho ki sitāre shumār to na kare
kaho qadam dhare, chhoḌe utāre jaise haiñ
ye ġham ke phuul haiñ yā sher dekhiye aur bas
hameñ pata hai ki ham ne nikhāre jaise haiñ