ai miyāñ kaun ye kahtā hai mohabbat kī hai
baat ye hai ki yahāñ baat zarūrat kī hai
phir koī chaak garebān liye phirtā hai
hazrat-e-ishq ne phir koī sharārat kī hai
bas yūñhī ek hayūlā sā nazar aayā thā
aur phir dil ne dhaḌakne kī jo shiddat kī hai
vo mirī chaah kā vaise bhī talabgār na thā
phir mire dil ne sambhalne meñ bhī ujlat kī hai
ham bahut duur chale aa.e haiñ basne ko 'atā'
is se pahle bhī bahut duur se hijrat kī hai