pahle ham ashk the phir dīda-e-nam-nāk hue
ik jū-e-āb-e-ravāñ haath lagī paak hue
aur phir sāda-dilī dil meñ kahīñ dafn huī
aur phir dekhte hī dekhte chālāk hue
aur phir shaam huii, rañg uḌe, jaam bane
aur phir zikr chhiḌā, thoḌe se ġhamnāk hue
aur phir aah bharī ashk bahe, sher kahe
aur phir raqs kiyā, dhuul uḌii, ḳhaak hue
aur phir ham kasī pā-posh kā paivand bane
aur phir apne bhī charche sar-e-aflāk hue
aur phir yaad kiyā ism paḌhā, phūñk diyā
aur phir koh-e-girāñ bhī ḳhas-o-ḳhāshāk hue