hamārā ishq salāmat hai ya.anī ham abhī haiñ
vahī shadīd aziyyat hai ya.anī ham abhī haiñ
usī purānī kahānī meñ saañs lete haiñ
vahī purānī mohabbat hai ya.anī ham abhī haiñ
na jaane kab se dar-e-dāstāñ pe baiThe haiñ
aur intizār kī himmat hai ya.anī ham abhī haiñ
talab ke karb meñ ik marg ke duā-go the
talab meñ vaisī hī shiddat hai ya.anī ham abhī haiñ
kasī ke naam pe ham dostī nibhāte the
aur ab bhī vaisī hī shohrat hai ya.anī ham abhī haiñ
talab baḌhātī chalī jā rahī hai apnī havas
so qadre ḳhaam qanā.at hai ya.anī ham abhī haiñ
kalām-e-'mīr' ke sadqe meñ sher hote haiñ
jo bait hai so qayāmat hai ya.anī ham abhī haiñ
ajab ye sher haiñ apne ki jin meñ ham bhī nahīñ
bas ek ġham kī sharārat hai ya.anī ham abhī haiñ
ye ishq peshgī dār-o-rasan ke hañgāme
ye rañg zinda salāmat hai ya.anī ham abhī haiñ
amīr-e-shahr hai bechain shaiḳh ḳhauf-zada
abhī talak ye adāvat hai ya.anī ham abhī haiñ
na puurī hai na adhūrī ye dāstān-e-alam
koī sunī sī hikāyat hai ya.anī ham abhī haiñ