Ahmad Ata

wo zamana hai ki ab kuchh nahin diwane mein

Ahmad Ata

vo zamāna hai ki ab kuchh nahīñ dīvāne meñ
naam letā hai junūñ kā kabhī anjāne meñ
qismat apnī hai ki ham nauhagarī karte hue
kareñ zanjīr-zanī dil ke azā-ḳhāne meñ
kyā hue log purāne jinheñ dekhā bhī nahīñ
ai zamāne hameñ tāḳhīr huī aane meñ
in shikasta dar-o-dīvār kī sūrat ham bhī
bahut āseb-zada hoñge nazar aane meñ
apne ābā.ī makānoñ se palaTte hue ham
kitne nāzāñ haiñ koī din rahe vīrāne meñ
ham to kuchh aur tarah hote the barbād 'atā'
ab to kuchh aur se hālāt haiñ mai-ḳhāne meñ
Top Urdushayar.com