Ahmad Ata

hui ghazal hi na kuchh baat ban saki humse

Ahmad Ata

huī ġhazal hī na kuchh baat ban sakī ham se
ye sarguzisht-e-junūñ kab bayāñ huī ham se
saḌak pe baiTh ga.e dekhte hue duniyā
aur aise tark huī ek ḳhud-kushī ham se
ham aa ga.e the ghane bargadoñ ke saa.e meñ
sau baat karne chalī aa.ī raushnī ham se
vo ḳhvāb kyā thā ki jo bhūlne lagā dam-e-sub.h
vo raat kaisī thī jo rūThne lagī ham se
bujhā ke apne alaav paḌā hameñ chhupnā
to yuuñ kahānī farāmosh ho ga.ī ham se
ham aaj phir baḌī tāb-o-tavāñ se julte haiñ
phir aaj sahm to jā.egī tīrgī ham se
ham aaj bhī usī darvāze kī bane the darz
vo be-niyāz usī tarah phir milī ham se
Top Urdushayar.com