Ahmad Ata

dil koi phul nahin aur sitara bhi nahin

Ahmad Ata

dil koī phuul nahīñ aur sitāra bhī nahīñ
kār-e-duniyā kā nahīñ aur tumhārā bhī nahīñ
ham kisī samt chaleñ raah lageñ kho jaa.eñ
rāh-e-gum-gashta haiñ so aisā ishāra bhī nahīñ
ham ko to vasl ke qābil nahīñ jaanā tum ne
ham chale jaa.eñ kahīñ tum ko gavārā bhī nahīñ
nā-rasā.ī ne ajab taur sikhā.e haiñ 'atā'
ya.anī bhūle bhī nahīñ tum ko pukārā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com