jal rahā huuñ to ajab rañg o samāñ hai merā
āsmāñ jis ko samajhte ho dhuāñ hai merā
le ga.ī bāñdh ke vahshat use sahrā kī taraf
ek dil hī to thā ab vo bhī kahāñ hai merā
dekh le tū bhī ki ye āḳhirī manzar hai mirā
jis ko kahte haiñ shafaq rañg-e-ziyāñ hai merā
apnā hī zor-e-tanaffus na miTā de mujh ko
in dinoñ zad pe mirī ḳhema-e-jāñ hai merā
zarra-e-ḳhāk bhī hotā hai kabhī bār-e-girāñ
kabhī lagtā hai ki ye saarā jahāñ hai merā
ab ufuq-tā-ba-ufuq meñ huuñ har ā.īne meñ
jaise har samt o jihat aks-e-ravāñ hai merā
ruk gayā aa ke jahāñ qāfila-e-rañg-o-nashāt
kuchh qadam aage zarā baḌh ke makāñ hai merā