Ahmad Ata

hamari aankhen bhi sahib ajib kitni hain

Ahmad Ata

hamārī āñkheñ bhī sāhib ajiib kitnī haiñ
ki dil jo ro.e to kam-baḳht hañsne lagtī haiñ
tumhāre shahr se chaliye ki tañg-dastī ne
tumhāre shahr kī galiyāñ bhī tañg kar dī haiñ
ye ham haiñ be-hunarāñ dekhiye hunar-mandī
jo koī kaam kareñ ham to poreñ jaltī haiñ
na is kā vasl milā aur na rozgār yahāñ
so pahle hijr-zada the aur ab ke hijratī haiñ
to shāh-zādī ko laa.eñ vo mahv-e-ḳhvāb hai kyā
hameñ yaqīñ nahīñ pariyāñ bhī jhuuT boltī haiñ
Top Urdushayar.com