ye baat alag dil ko tirī yaad ne bāñdhā
is said ko varna kahāñ sayyād ne bāñdhā
kūcha ye koī aur hī ābād karegā
sāmān jo ab ke dil-e-barbād ne bāñdhā
is shahr ko ab chhoḌ ke kyā jā.ūñ ki mujh ko
rokā hai kisī aah ne fariyād ne bāñdhā
jo us kī talab hai vahī ab merī talab hai
kis sehr se mujh ko mire ham-zād ne bāñdhā
hamvār huī raah na rasta hī khulā hai
baazū se to ta.avīz bhī afrād ne bāñdhā
ik koh-e-girāñ toḌ diyā par nahīñ toḌā
paimān-e-vafā jab kisī farhād ne bāñdhā
shāgird ke ab sher se hotā hai barāmad
mazmūn bahut pahle jo ustād ne bāñdhā
'fārūq' nazar ho ga.ī markūz usī par
kyā ḳhuub adāoñ se parī-zād ne bāñdhā