Aslam Mahmood

mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai

Aslam Mahmood

mizha pe ḳhvāb nahīñ intizār sā kuchh hai
bahār to nahīñ aks-e-bahār sā kuchh hai
mujhe milā na kabhī farsh-e-gul pe bhī ārām
yahī lagā ki kahīñ nok-e-ḳhār sā kuchh hai
jo paas thā isī saudā-e-sar kī nazr huā
na dhajjiyāñ hī bachī haiñ na taar sā kuchh hai
tamām umr jise maiñ ubuur kar na sakā
darūn-e-zāt mire be-kanār sā kuchh hai
guzar ga.ī mujhe chhū kar kisī ḳhayāl kī rau
ufuq se tā-ba-ufuq rañg-zār sā kuchh hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb hue sab visāl ke lamhe
nazar meñ sirf chamaktā ġhubār sā kuchh hai
ye haal hai ki havāoñ se uljhā jaatā huuñ
lahū meñ ab ke ajab intishār sā kuchh hai
Top Urdushayar.com