maiñ hajv ik apne har qasīde kī rad meñ tahrīr kar rahā huuñ
ki āp-apne se huuñ muḳhātab ḳhud apnī tahqīr kar rahā huuñ
kahāñ hai fursat nashāt o ġham kī ki ḳhud ko tasḳhīr kar rahā huuñ
lahū meñ girdāb Dāltā huuñ nafas ko shamshīr kar rahā huuñ
mirī kahānī raqam huī hai havā ke aurāq-e-muntashir par
maiñ ḳhaak ke rañg-e-ġhair-fānī ko apnī tasvīr kar rahā huuñ
maiñ sañg-o-ḳhisht-e-anā kī bārish meñ kab kā mismār ho chukā huuñ
ab inkisārī kī narm miTTī se apnī ta.amīr kar rahā huuñ
ye ishq kī hai fusūñ-tarāzī ki vahshatoñ kī karishma-sāzī
kamand ḳhushbū pe Dāltā huuñ havā ko zanjīr kar rahā huuñ
shanvā-varī ke usuul mujh ko batā.egā koī kyā ki maiñ ne
kiyā hai maujoñ kā ḳhair-maqdam bhañvar kī tauqīr kar rahā huuñ
tum apne dariyāoñ par biThāo hazār pahre magar mujhe kyā
maiñ saare ḳhvāboñ ko sab sarāboñ ko apnī jāgīr kar rahā huuñ