Shubha Shukla Mishra adhar

uljhanon mein hi ulajhti zindagani rah gai

Shubha Shukla Mishra adhar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1977
uljhanoñ meñ hī ulajhtī zindagānī rah ga.ī
bas vafāoñ kī badaulat shādmānī rah ga.ī
tum falak par chāñd ban kar raushnī dete rahe
maiñ mahaktī sī tumhārī rāt-rānī rah ga.ī
ḳhvāb sab be-nūr haiñ be-rañg gum-sum raunaqeñ
zindagī tum bin kahāñ ab zāfrānī rah ga.ī
Dhal rahī hai shab udāsī dard kā aalam huā
ye supurd-e-ḳhāk duniyā faanī faanī rah ga.ī
jism ko kar ke judā jag ho gayā masrūf par
ruuh meñ Thahrī mohabbat kī ravānī rah ga.ī
ban ke dushman ye muqaddar pal sunahre le gayā
par hañsī jis se 'adhar' par vo nishānī rah ga.ī
Top Urdushayar.com