Aslam Mahmood

sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain

Aslam Mahmood

sarāb-e-ma.anī-o-mafhūm meñ bhaTakte haiñ
kuchh aise lafz jo shāyad azal se pyāse haiñ
samā.atoñ ko abhī yuuñ hī muntazir rakhnā
pas-e-ġhubār-e-ḳhamoshī hazār naġhme haiñ
añdhere kitne hī saffāk hoñ ki zālim hoñ
magar charāġh kī nannhī sī lau se Darte haiñ
ye kis ḳhayāl kī lau se lipaT rahī hai havā
ye kis kī yaad ke saa.e se thartharāte haiñ
yahī nahīñ ki kisī yaad ne malūl kiyā
kabhī kabhī to yūñhī be-sabab bhī ro.e haiñ
bikhar ke bhī to hameñ ā.īna hī rahnā hai
harīf-e-sañg kahīñ TūTne se Darte haiñ
safar the paañv meñ 'aslam' to manzileñ sar meñ
magar ab apnī hī parchhā.iyoñ se lipTe haiñ
Top Urdushayar.com