an-sunī kartā nahīñ us ko sunā kar dekhnā
hausla rakh kar ḳhudā ko sach batā kar dekhnā
muntazir terī nigāheñ ruuh bhī bechain kuchh
hai hasīñ ye zindagī tū dil lagā kar dekhnā
ai ḳhizāñ chun le zarā ab āshiyāñ apnā kahīñ
ruuh meñ yādeñ basī haiñ sar jhukā kar dekhnā
hai yahī fariyād tujh se ābshār-e-zindagī
ḳhush rahe aalam 'adhar' ḳhud ko miTā kar dekhnā