Shubha Shukla Mishra adhar

nazar ki kya kahen ab to jigar bhi ho gae patthar

Shubha Shukla Mishra adhar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1977
nazar kī kyā kaheñ ab to jigar bhī ho ga.e patthar
kahāñ bū-e-vafā khoī ki ghar bhī ho ga.e patthar
ḳhudā tab bebasī meñ shab sahar royā yaqīnan hai
guloñ se khilkhilāte jab shajar bhī ho ga.e patthar
baḌī ummīd le kar maiñ chalī aa.ī suno pyāre
magar thī kyā ḳhabar dīvār-o-dar bhī ho ga.e patthar
mulamma.a vaqt kā chaḌhtā gayā kyuuñ is qadar bolo
ki patthar ko hañsā kar bā-hunar bhī ho ga.e patthar
bharā hai zahr dil meñ kis ne tere bol de itnā
asar aisā mohabbat ke nagar bhī ho ga.e patthar
havā jhoñkā nahīñ laa.ī kabhī kyā merī yādoñ kā
kahāñ hai dafn rauzan ishq tar bhī ho ga.e patthar
nadī kā saath dene kī taḌap paalī samundar ne
nibhānā khel samjhā to mukhar bhī ho ga.e patthar
yaqīñ karnā huā mushkil qasam TuuTe sitāre kī
vahī tum bin yahī shams-o-qamar bhī ho ga.e patthar
sadā hī naaz thā tujh pe mujhe ai dost merī jaañ
kiyā kyuuñ vaar dil pe hī 'adhar' bhī ho ga.e patthar
Top Urdushayar.com