Maqsood Afaq

mujh mein tanhai meri aur main tanhai mein

Maqsood Afaq

1991
mujh meñ tanhā.ī mirī aur maiñ tanhā.ī meñ
ajnabī ho ga.e sab dasht-e-shanāsā.ī meñ
apne andar hī ra.ūnat kī fazā hai shāyad
log utarte hī nahīñ ruuh kī gahrā.ī meñ
khul gayā ab ki hai ādāb-e-mohabbat baḌī chiiz
ham jo mārūf hue jalva-e-rusvā.ī meñ
ye to tai hai ki mujhe tujh se judā honā hai
misl aañsū huuñ tirī chashm-e-tamannā.ī meñ
aap to hashr uThāne ke liye kahte the
aañkh tak uTh na sakī ālam-e-rusvā.ī meñ
umr kaaTī hai isī ek talab meñ 'āfāq'
ik nazar dekh le mujh ko koī tanhā.ī meñ
Top Urdushayar.com