ye himāqat mire idrāk pe chhā.ī huī hai
āñsuoñ se tire tasvīr banā.ī huī hai
arsh hilne kā sabab pūchhte kyā ho mujh se
ik duā halqa-e-tāsīr meñ aa.ī huī hai
chāñd maddham hai diye chup haiñ sahar ruuTh ga.ī
kyā mire ġham meñ giraftār ḳhudā.ī huī hai
tum to bas tark-e-ta.alluq ke liye aa hī ga.e
ab ke is dil ne magar baat baḌhā.ī huī hai
munkashif hone lagā ḳhuun hathelī pe mire
ek laḌkī kī hathelī jo hinā.ī huī hai
itnī vahshat ki havas vajd meñ aane se rahī
ik sadā jānib-e-aflāk se aa.ī huī hai
chhū luuñ hoñToñ se to dariyā ko bhī sahrā kar duuñ
pyaas terī mire hoñToñ pe samā.ī huī hai
shahar-e-vīrān ab ābād huā chāhtā hai
aaj is panchhī kī pinjre se rihā.ī huī hai
bārish-e-ashk meñ bah jā.egā ab shahr kā shahr
aaj 'āfāq' koī chiiz parā.ī huī hai