Maqsood Afaq

nashat-e-sahra-nawardi ka haal bolta hai

Maqsood Afaq

1991
nashāt-e-sahrā-navardī kā haal boltā hai
hamārā shauq hamīñ ko niDhāl boltā hai
urūj-e-dilbarī hasrat se dekhne vaale
vo sun jo silsila-e-pā.emāl boltā hai
ye kyā sitam hai ki ab us kā sāmnā hogā
jo lab hilā.e binā bhī kamāl boltā hai
bhañvar ko ek kināra samajh rahā huuñ maiñ
kisī ke hone kā kyā ehtimāl boltā hai
zamāne bhar ko maiñ dil se nikāl detā huuñ
zamāna jab tujhe dil se nikāl boltā hai
haqīqī āñkhoñ se dekhā gayā hai ye manzar
mire sukūt se terā ḳhayāl boltā hai
abhī na dekheñge ham aane vaale kal kī taraf
abhī to guzre zamānoñ kā haal boltā hai
Top Urdushayar.com