Maqsood Afaq

har ek chehra abhi aashna naya naya hai

Maqsood Afaq

1991
har ek chehra abhī āshnā nayā nayā hai
ki shak to lāzmī hai aa.ina nayā nayā hai
tirī razā ke mutābiq hī faisle hoñge
tū sabr kar ki abhī rābta nayā nayā hai
vo ba.ad tark-e-ta.alluq kare hai yaad mujhe
use salīqa nahīñ bevafā nayā nayā hai
vahī masarrat-e-vasl aur vahī azāb-e-firāq
juz ek naam mohabbat meñ kyā nayā nayā hai
paḌī haiñ mez pe bikhrī kisī kī tasvīreñ
nigāh rakhiye ki ghar meñ diyā nayā nayā hai
ab us kā naam chalo e'tibār hī rakh leñ
zabān-e-vasl pe ik aabla nayā nayā hai
jo dā.imī hai zamīn-o-falak ke beach 'āfāq'
hamāre darmiyāñ vo fāsla nayā nayā hai
Top Urdushayar.com