Maqsood Afaq

sukut toDega aankhon ko aabju karega

Maqsood Afaq

1991
sukūt toḌegā āñkhoñ ko aabjū karegā
jo kal adū ne kiyā thā vo aaj tū karegā
maiñ haath rakhtā huuñ sar par sadā yatīmoñ ke
yahī amal mujhe duniyā meñ suraḳh-rū karegā
ḳhud apne haath se apnā vajūd chaak kiyā
yahī ummīd ki tū aa.egā rafū karegā
tavīl arse ke ba.ad aaj ye ghaḌī aa.ī
ki terā ishq mire dil se guftugū karegā
kisī ke haq meñ duā kar ke dekhiye sāhab
farishta aap kī sohbat kī aarzū karegā
maiñ us nigāh kā mehvar nahīñ huā ab tak
vo mujh ko sūrat-e-ḳhāshāk kū-ba-kū karegā
tirī hathelī ko dulhan koī banā na sakā
ye kaam dekhnā ab ke mirā lahū karegā
kisī kā hijr muassar hai is qadar 'āfāq'
ki chāñd baam pe aane kī justujū karegā
Top Urdushayar.com