ham apnī ruuh ke uupar azaab dekhte haiñ
ki roz tujh se bichhaḌne kā ḳhvāb dekhte haiñ
kabhī kabhī to hameñ bhī yaqīñ nahīñ aatā
ki ham bahār meñ jalte gulāb dekhte haiñ
tumhārī chashm-e-tamannā ko dekhne vaale
koī ḳhazāna-e-ġham zer-e-āb dekhte haiñ
bas ek aas ke rishte pe umr kaTtī hai
ki ḳhushk peḌ musalsal sarāb dekhte haiñ
jahāñ junūñ kī tamāzat pe harf aatā ho
ham us maqām pe ik inqalāb dekhte haiñ
hamāre qad kā tum andāza kyā lagāoge
ham aañkh muuñd ke sahrā meñ aab dekhte haiñ
ye shahr-e-ishq to 'āfāq' ho nahīñ saktā
ham is ilāqe kā mausam ḳharāb dekhte haiñ