na.e paikar na.e sāñche meñ Dhalnā chāhtā huuñ maiñ
mizāj-e-zindagī yaksar badalnā chāhtā huuñ maiñ
zamīñ terī kashish ne rok rakkhā hai mujhe varna
hudūd-e-ḳhāk se bāhar nikalnā chāhtā huuñ maiñ
numū kā josh Thokar mārtā rahtā hai siine meñ
lahū kā chashma huuñ kab se ubalnā chāhtā huuñ maiñ
guzarte jā rahe haiñ qāfile tū hī zarā ruk jā
ġhubār-e-rāh tere saath chalnā chāhtā huuñ maiñ
maiñ apne barf ke paikar se ḳhud uktā gayā huuñ ab
chamak mujh par mire sūraj pighalnā chāhtā huuñ meñ
sadā.eñ dasht detā hai mujhe vahshat bulātī hai
so ḳhāk-e-ishq apne sar pe malnā chāhtā huuñ maiñ
idhar se bhī koī guzre ki maiñ jis se kahūñ 'aslam'
charāġh-e-rahguzar huuñ aur jalnā chāhtā huuñ maiñ