Maqsood Afaq

pichhle zaKHmon ka izala na hi wahshat karega

Maqsood Afaq

1991
pichhle zaḳhmoñ kā izāla na hī vahshat karegā
tujh se vāqif huuñ mirī jaañ tū mohabbat karegā
maiñ chalā jā.ūñgā duniyā se sikandar kī tarah
aglī sadiyoñ pe tirā naam hukūmat karegā
pesh hai dūsre aalam meñ bhī tanhā rahnā
maiñ ne sochā thā tū duniyā se baġhāvat karegā
dil tirī rāh-e-aziyyat se palaTne ko hai
kyā tū ab bhī na mirā ḳhvāb haqīqat karegā
tū mirī maut kī tasdīq nahīñ kar saktā
chhuegā to mujhe aur dil mirā harakat karegā
vāhima sahrā-navardī kā mudallal nahīñ hai
koī hogā mire dil meñ tabhī hijrat karegā
vo jo 'āfāq' charāġhoñ kī laveñ toḌtā hai
apnā sūraj bhī usī haath pe bai.at karegā
Top Urdushayar.com