ġham-e-hayāt ko apnāo zindagī kar lo
ab āñkheñ khol do ik pal ko raushnī kar lo
ġhamoñ ke daur meñ tum ko agar hai ḳhush rahnā
to muskurāo zarā dard meñ kamī kar lo
maiñ is sahāre tamām umr kaaT saktā huuñ
nazar se chhū ke mire ḳhat ko surma.ī kar lo
kise ḳhabar hai ki baaqī hai zindagī kab tak
ye mashvara hai ki ab mujh se dostī kar lo
ik ajnabī se sune maiñ ne tazkire apne
ab is se achchhā hai charchā galī galī kar lo
tum apnī zaat ko mahsūs kar na pāoge
tum apnī zaat se mujh ko agar nafī kar lo
bhaTak rahe ho udāsī ke dasht meñ 'āfāq'
tumheñ ye kis ne kahā thā ki āshiqī kar lo