Maqsood Afaq

har qadam ek qayamat jahan bawar aae

Maqsood Afaq

1991
har qadam ek qayāmat jahāñ bāvar aa.e
tere pīchhe to koī soch-samajh kar aa.e
mere showcase kī taqdīr sañvar saktī hai
kyā ye kam hai ki mire ghar tirā patthar aa.e
maiñ jinheñ mil na sakā vo to munāfiq hoñge
jin ko aanā thā mire dil meñ barābar aa.e
ho sake to ye bahā ashk nadāmat vaale
ain mumkin hai ki vo shaḳhs palaT kar aa.e
ālam-e-vajd meñ aane to de ik baar mujhe
ek to kyā tirī tasvīr bhī chal kar aa.e
aglā mausam ho tabāhī kā ye mumkin hai miyāñ
ek muddat huī bastī meñ qalandar aa.e
ho gayā aaj ayaañ tere tasavvur kā tilism
dil kī dahlīz pe alfāz ke lashkar aa.e
koī 'āfāq' mohabbat kī himāyat meñ nahīñ
jaane kitne hī nishān us ke badan par aa.e
Top Urdushayar.com