Maqsood Afaq

ek ghaDi jazba-e-nafrat ke siwa chahti hai

Maqsood Afaq

1991
ik ghaḌī jazba-e-nafrat ke sivā chāhtī hai
zindagī tujh se mohabbat kī duā chāhtī hai
kyā karūñ dost to itne bhī nahīñ haiñ mere
roz ye ruuh koī zaḳhm nayā chāhtī hai
kyā ajab taur se kartī hai shikast apnī qubūl
ab ye duniyā koī hañgāma bapā chāhtī hai
jis mohabbat ke laboñ se kabhī jhaḌte the gulāb
ab vahī lahja-e-āshufta-navā chāhtī hai
jaan ko zaḳhm-e-tamannā se ifāqa na huā
phir na.e ishq meñ paimān-e-vafā chāhtī hai
shohrateñ Dhal ga.iiñ ik umr kī mānind so ab
mauj-e-rusvā.ī mire ghar kā patā chāhtī hai
mere hoñToñ kī tamannā bhī ajab hai 'āfāq'
us ke ruḳhsār pe ik phuul khilā chāhtī hai
Top Urdushayar.com