lab pe aayā hī na thā harf-e-tamannā koī
ab ke kartā bhī to kyā kartā mudāvā koī
zindagī tere taġhayyur kī taraf dhyān gayā
jab havāoñ meñ uchhālā gayā sikka koī
chāragar koī na hamdard na muḳhlis na rafīq
shahr-e-be-mehr meñ kis vāste aayā koī
gardish-e-vaqt ko samjhā.e bhalā kaun ye baat
roz chaukhaT pe take hai mirā rasta koī
ā.īne ḳhud chale aate haiñ muqābil mere
shaan meñ paḌhtā hai jab mere qasīda koī
daulat-e-ijz na.ī rut meñ na DhūñDo ki yahāñ
yā to bantā hai yā kartā hai tamāshā koī
ab ke 'āfāq' mirī āñkhoñ meñ aañsū bhī na the
garm miTTī pe taḌaptā rahā pyāsā koī