pūchhe hai mirā dil tirī tanhā.ī se kyā kyā
pahlū meñ koī shaḳhs numūdār huā kyā
dil sail-e-havas meñ to pahuñchtā hai kahīñ aur
mad.hosh musāfir ho to manzil kā pata kyā
ai zehn-e-rasā kuchh sipar-andāz to ho jā
dekheñ to javāb aate haiñ aflāk se kyā kyā
kyuuñ phailtī jaatī hai koī ḳhushbū-e-mānūs
dil abr kī mānind tire dar se uThā kyā
ai rahbar-e-mārūf ye taskīn-e-safar kyuuñ
tujh ko nazar aayā mirā naqsh-e-kaf-e-pā kyā
aayā huuñ barī ho ke maiñ aivān-e-ḳhirad se
ye shahr-e-mohabbat hai yahāñ merī sazā kyā
ik zaḳhm mahaktā hai tumhārā rag-e-jāñ par
samjhūñ maiñ use apnī vafāoñ kā sila kyā
hai mahv-e-tamannā dil-e-āzurda ki dekhe
pindār-e-mohabbat meñ hai andāz-e-ḳhudā kyā
'āfāq' mire chāñd ke baare meñ na pūchho
aa jaa.e vo añgḌā.ī pe to raqs-e-sabā kyā