arsh-e-ḳhudā ḳhamosh hai tahtus-sarā meñ chup
shor itnā hai ki phail ga.ī hai fazā meñ chup
us ne bhī apne hoñToñ ko pāband kar liyā
maiñ ne bhī Daal rakhī hai dast-e-duā meñ chup
ilzām ab to tiir kī mānind ā.eñge
tum aa.e bhī to yuuñ ki thī āvāz-e-pā meñ chup
sūraj ta.alluqāt kā Dhalne pe aa gayā
mere junūñ meñ shor hai terī vafā meñ chup
pindār-e-sard-mehrī-e-duniyā kī ḳhair ho
dil ne agarche kar liyā shāmil duā meñ chup
koī vajūd hī nahīñ lafz-e-sukūn kā
apnī baqā meñ chup hai na apnī fanā meñ chup
'āfāq' duniyā kyā hai qayāmat ke ba.ad bhī
zinda rahegī hulla-e-ahl-e-ridā meñ chup