Maqsood Afaq

aankhen bhi mand thin mera dil bhi figar tha

Maqsood Afaq

1991
āñkheñ bhī maañd thiiñ mirā dil bhī figār thā
haa.e vo shaḳhs jis kā mujhe intizār thā
mansūb umr-e-rafta ye e.azāz kam nahīñ
ik shaḳhs muntahā-e-ġham-e-e'tibār thā
jab ġhair ke liye na rahā terā lams-e-ġhair
phir terā intizār bhī āñkhoñ pe baar thā
tārīkiyāñ nasīb thiiñ isyān-e-zīst ko
raushan jo thā vo merī vafā kā hisār thā
pahle-pahal jo rabt thā jannat sā apne beach
phir ye khulā vo ishq na thā kār-zār thā
phir yuuñ huā ki us ne bhulā hī diyā mujhe
kartā bhī kyā gila maiñ use iḳhtiyār thā
'āfāq' vo judā bhī huā thā to zo.am se
phir us ko yaad karnā bhī ik shāhkār thā
Top Urdushayar.com